Friday, February 5, 2010

Urdu Poetry

Ye Zaroori to Nahin
----------------------------------------------------------
Umr Jalwon mein basar ho,ye zaroori to nahin,
Har shab-e-gham ki sahar ho,ye zaroori to nahin
Chashm-e-saqi se piyo,ya lab-e-sagar se piyo
Be khudi aathon pahar ho,ye zaroori to nahin
Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai,
unki aagosh mein sar ho,ye zaroori to nahin
Sheikh karta to hai masjid mein khuda ko sajde,
uske sajdon mein asar ho,ye zaroori to nahin
Sab ki nazron mein ho saqi,ye zaroori hai magar,
Sab pe saqi ki nazar ho,ye zaroori to nahin.
----------------------------------------------------------------------------
Wafa k qaid khano main sazaaen kub badalti hain
---------------------------------------------------------------------------
Wafa k qaid khano main sazaaen kub badalti hain
badalta dil ka mousam hai hawaaen kub badalti hain
libada ouurh kar ghum ka nikal jatay hain sehra main
jawaab aaey k na aaey sadaaen kub badalti hain
meri sari duaaen tum se mansoob hain jaana
muhabbat ho agar sachii duaaen kub badalti hain
koe paa kar nibhata hai koe kho kar nibhata hai
naey andaaz hotay hain wafaaen kub badalti hain
gunahoun ko hamara eak malik he bakhsta hai
ata es ki porani hai khaataen kub badalti hain

----------------------------------------------------------

Khafa Hona Mana Lena (By: Ahmed Faraz)

----------------------------------------------------------

Main Sun kay us ki Sab Batain...
Faqt Itna hi Kehta hon.....
Khafa hona....
Mana Lena.....
Ya Sadiyoon se Riwayat ha.....
Muhabbat ki Aalamat ha...
Gilaay Shikway karo muj se...........
Tumhain Yara Ijazat ha......
Magr ik bat meri b...
Zara Tum yad rahk lena......
Kabhi aisa b hota ha.........
Hawayin Rukh Badalti hain....
Khazain loat ati hain...
Khatain ho hi jati hain....
Khata hona b Mumkin ha...
Khafa hona b mumkin ha....
Hamesha Yad rahkna Tum....
Taluq Rooth Jany se Kabi Toota nahi Karty.........

No comments:

Post a Comment